Qaza Namaz
Guzre saalon ki qaza namazon ka hisaab rakhein — kitni baaki hain, roz kitni padhi. Ye hisaab sirf aapke phone me save rehta hai; koi login nahi, kuch bahar nahi jata.
Pehle hisaab lagayein
Kitne arse ki namaz qaza hai? Andaaza hi likhein — pukhta hisaab Mufti sahab batayenge (neeche link hai).
Hisaab Hanafi tareeqe se: roz Fajr, Zuhr, Asr, Maghrib, Isha (farz) aur Witr (wajib) — kul 20 rakat roz. Ek mahina 30 din ka andaaza liya gaya hai.
Rehnumai
Jo farz namazein waqt par na padh sakein, unki qaza padhna lazim hai — jab taqat ho, thoda-thoda karke shuru kar dein; Allah Ta'ala aasaani farmata hai. Roz ki maujooda namazon ke saath ek-ek din ki qaza jodna sabse aasan tareeqa hai.
Pukhta hisaab ke liye Mufti sahab se mashwara karein — Mufti aur Molana ke number yahan mileinge: 📞 Directory — Mufti / Molana ke number